Booghie, Bhainsa aur Boomba
Bansilaal bade thakke hue thhe.
Soche bheeru ke adde mein thoda thharra maar len.
Maarne ke toh maar liya, ek seesa aur apni dhoti mein khos vo baahar nikle.
Baahar unki booghie khadi thi. Aur saath mein bhainsa.
Ab bansilaal apne bhainse se pyaar bada karte thhe. Bole le pee tu bhi.
Aur pilay diye poora seesa.
Boogie mein baithhe hanke ... hurrrrr ...chal re ...
Bhainsa chala mast.
Bajoo mein aaya boomba.
Aur bhainsa samet booghie samaay gayee boombha mein.
Toh ye hai kahaani Booghie, Bhainsa aur Boomba ki.
p.s. booghie == a bhains driven cart
p.a.s. boomba == an irrigation canal
4 Comments:
hahahahaaha
nicely written but am sure most people(read girls) who read this
won't be able to make sense out of this..
1:17 PM
sometimes the sense is in not having any. :P
abe birjesva...tune comment delete kyon kar diya re?
1:29 PM
abe maine comment delete nahin kiya...bhains pe baithhey rahoge to dikhai kaise dega?
1:31 PM
main bhi booghie khareedne ki soch raha hoon..
1:34 PM
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home